Posts

KHAYAL

Karoon yaad tujhe Padhun aankhein teri Likhun husn tera Sunoon batein teri Bitaun waqt sath tere Ghazlein meri , charche tere Qalam mera , naam tera Panne mere , aqs tera  Soch meri , khayal tera Dil mera , ghar tera Sunoon gaane teri yaad main  Likhun afsaane tere baad main Padhun khat tere andheron main  Karoon yaad tujhe ujaloon main Teri aankhoon kee chamak Tere balun kee woh khushboo Teri batoon ka suroor  Tujhe likhne main woh noor

WOH

Main kagaz pe likhta hun naam tera Maine har shaam ko tujhe yaad kiya hai  Main khudse hee krta hun teri batein Maine har dua main tujhko manga hai Main dhundta hun khudko teri aankhon main  Maine har baar khud ko nirash kiya hai Main karta hun koshishen tujhe bhoolne kee Maine har baar teri yaad ko paya hai Main karta raha koshishen tujhe paane kee Maine har baar tujhko dur paya hai Main likhta tha tumhare husn par ghazlein Maine har baar unko jalaya hai